Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal
jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal
jati hain
karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain
woh aisa hai k us ka naam sunney k
tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain
sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main
us say milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain
chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati
hain
yun to "Raat" ka alam haseen hota hai,
madhosh bhi magar"chand" dekhoon to meri ratein badal
jati hain
mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne
walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal
jati hain
No comments:
Post a Comment