December mujh se bola tha
Ab k jab min aon ga.
Tujhe phir se pukaron ga
Usse main sath laon ga
Jo tujh ko bhool betha hai
Ke jis k hijar ka laawa Tera tan man jalata hai
Ke jis ki yaad ki jheelon main
Tum aksar doob jate ho
Ke jis k waaste bethe
Yahan tum geet gate ho
December mujh se bola tha Suno tum bhool na jana
Jo yaadain us ne sonpi hain
Jo lamhe us ne bakhshe hain
Chahe ye zakham sare
Rooh ka na-soor ban jaen
Inhen bharne nahi dena Inhen marne nahi dena
Ke in zakhmon pe marham
Aik din us ne hi rakhna hai
December a gaya lekin.
December wo nahi aya
Ke jis ne mujh se bola tha Useey wo sath lae ga
Mujhe phir se pukare ga
December ! ghor se sun lo
Useey bhi tum bata dena
Ye sansen machli bethi hain
Ab rukhsat pe jaane ko Ye ankhen bhi barasti hain
Ussey wapis bulane ko
Magar ye jante hain hum
Humain wo bhool betha hai
December aye jo ab ho
To itna yaad rakh lena December aur hi tha wo
Ke jis ne mujh se bola tha
Mujhe umeedain bakhshi thin
Mujhe jeena sikhaya tha
Bohat masoom the hum to
Jo itna bhi nahi samjhe December to December hai
Sab hi ko rulata hai
Hamesha der karta hai
Sanam k taur rakhta hai
Sada aakhir main ata hai
December us se keh dena Mujhe jitna bhi tarpa le
Ke tujh se haar mani hay
Ab hum ne ye hi thaani hai
Yon us se door jana hai
Kabhi wapas na ana hai
Chalo choro ab jaane do December kuch bhi na kehna
Koi shikwa nahi karna
Ke jis se ye guman guzre
Use hum yaad karte hain
Ussi ki raah takte hain
Ke apni zindagani ka Is sari kahani ka,
Ye manzar akkhri hoga
December aakhri ho ga
December aakhri ho ga
No comments:
Post a Comment