Thursday, 20 December 2012

Hamare deeda-e-ter ko mohabbat ho gayi tum se

Hamare deeda-e-ter ko mohabbat ho gayi tum se
Kisi gehre samnder ko mohabbat ho gayi tum se

Bhale wo chandni shab ho ya fasal-e-Gul ki rangeeni
Mere her ek manzar ko mohabbat ho gayi tum se

Kisi lamhe agar tum ko mohabbat ho gayi muj se
Samj lena muqaddar ko mohabbat ho gayi tum se

Jo sirf aur sirf apni zaat se hi payar kerta tha
Suno ik aise pathar ko mohabbat ho gayi tum se

Nahi jati tumhare qurb ki khushbu nahi jati
Mere ujre hoye ghar ko mohabbat ho gayi tum se

Meri aankhon ki janib dekh ker tum jan sakti ho
Ke ik gehre samander ko mohabbat ho gayi tum se

Kisi surat be ab ye ashak tham sakte nahi wasiq
Meri aankhon ke sagar ko mohabbat ho gayi tum se

No comments:

Post a Comment