Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shoharat Bhi Le Lo Bhale Chiin Lo Mujh Se Meri Javani Magar Mujh Ko
Lauta Do Bachapan Ka Savan Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani Mohalle Ki Sabse Nishani Purani Woh Burhiyaa Jise Bache Kehte They Nani Woh Nani Ki Baaton Mein Pariyon Ka Dera Woh Chehre Ki Jhuriryon Mein Sadiyon Ka Phera Bhulaae Nahi Bhool Sakata Hai Koi Woh Chhoti C Raaten Woh Lambi Kahani Kari Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalana Woh Chiriya Woh Bulbul Woh Titali pakarana Woh Guriya Ki Shaadi Mein Larna Jhagarna Woh Jhulon Se Girana Woh Gir K Sambhalana Woh Pital K Challon K Pyare Se Tohafe Woh Tooti Hui Churiyon Ki Nishani Kabhi Rait K Unche Tilon Py Jana Gharaunde Banana Bana K Mitana Woh Masoom Chahat Ki Tasvir Apni Woh Khwabon Khilaunon Ki Jagir Apni Na Duniya Ka GHam Tha Na Rishton K Bandhan Bari Khubsurat Thi Woh Zindagani Woh Kagaz Ki Kashti Woh Barish Ka Pani....♥
No comments:
Post a Comment